Saturday, 30 July 2011

DEKHTE HAI


Huwal Sarkar Peer Adil 


Makhmali Peer & Peer Fehmi

Khuda ko naada kaha dekhte hai
Bane jo ghaafil waha dekhte hai

Ye Peere mughaa se mila raze wahdat
Jo  diwaane hai  har  jaga  dekhte  hai

Ke   deedar  rab  ka   hua  jinko  haasil
Do aalam me khushiya nihaa dekhte hai

Wahi jalwa farma hai dairo haram me
Ke har  zarra - zarra  ayaan  dekhte  hai

Ke deedare rab ka kayamat me haq hai
Jo rab  ke hai   aashiq   yaha dekhte hai

Chupa    dekha   putla -e- tare  nafas    me
Ke har shaye me tujhko nihaa dekhte hai

Kiya khud ko faani hua tu hi baaqi
Makane anaa laamaka dekhte hai

Mere Peer   Aadil  rage jaa bane hai
Nahi wo chupe bas ayaa dekhte hai

Ke jis din mile Peer Fehmi sanam se
Nahi  do    sira    dusra   dekhte   hai

1 comment:

  1. peer ki nasihat dil ko aaina bana deti hai
    roohe zikr be parda rahbar se mila deti hai.

    ReplyDelete