Hazrat Ali R.D.


Hazrat Ali R.D. Dargah Sharif

Hazrat Ali (Radi Allahu anhu) ke kual  -  (Golden Words)


Imam Ali R.D.


1) Khuda se daro aur tumhe kisi se darne ki zarurat nahi hai.
2) Dil ki tamam uljhano se nijat khuda ki farma bardari hai.
3) Allah ka zikr dil ki shifa hai.
4) Apni zindagi is tarah guzaro ke jab aap mar jao to log khamosh
    ho jaye, aur jab tum zinda ho to wo aap ke sath ke liye tarse.
5) Zindagi ke din badlo ki tarah se guzarte hai, to acche kaam kro
    jab tum zinda ho.
6) Har bewakufi behtar hai duniya ki mohabbat ki Banisbat.
7) Mauka deri se aata hai, aur jaldi se guzar jata hai.
8) Ghamand,buzdili,aur kanjusi kharab hai mere liye. Aur achi
     chiz hai aurto ke liye.
9) Duniya ka sab se khushal insane wo hai. Jise Khuda ne nek biwi
     di hai.
10) Jo khud ko janta hai.Wo khuda ko janta hai.


11) Apne hosh ko mat khou kisi bhi chiz ke liye Jannat ke siwa.
12) Dil ki uljhane aur pareshaniya jism ki har bimari Se 
       khatarnak hai.
13) Apni khuwahisho se ladna sab se ladne se behtar Hai.
14) Tum me sab se taqatwar wo hai jiska apni nafs Par kabu hai.
15) Daulat aur lalach har burai ki jad hai.
16) Baghair aqeedat ke amiri sab se badi garibi hai.
17) Insan ki ahemiyat uski acchi niyyat par munhasir Karti hai.
18) Ilm rooh ki taazgi hai.
19) Danishmand insan marne ke bad bhi zinda rehta Hai.
20) Har qabiliyat ka nichod ilm hai.


21) Danishmand ki izzat karna khuda ki izzat karne Ke barabar
      hai.
22) Sakhawat har aib ko chupa deti hai.
23) Kanjus ki daulat siwaye patthar aur kankar ke Kuch nahi.
24) Khuwahishat hamesha kayam rehne wali sab se Badi dushman
       hai.
25) Jo zameen ke upar chal rahe hai 1 din isi ke Andar jayenge.
26) Dil ki har dhadkan insan ko maut ke aur nazdik Le jati hai.
27) Log jab tak zinda rehte hai sote rehte hai. Aur Marte waqt jagte
       hai.
28) Sachai sabar ka phal hai.
29) Hunar kabhi nahi marta.
30) Hunar se hasil ki gayi chiz khandan se mili hui Chiz se behtar
       hai.


31) Paarsai se behtar koi panagah nahi.
32) Insan ka bartao uski soch batata hai.
33) Khush mizaji se har chiz kharidi ja sakti hai.
34) Narmi taqat badhati hai.
35) Hasad hunar ko is tarah khata hai jaise aag lakdi Ko.
36) Jo udhaar deta hai sunne wale kaan wahi haq Rakhta hai
       mamle tak dobara pahochne ka.
37) Maafi achai ka taaj hai.
38) Nafsani khwahishat har burayyo ka jaal hai.
39) Har teer jis tarah nishane par nahi lagta.Usi tarah Har dua
       kubul nahi hoti.
40) Riya kari har neki ko barbad kar deti hai.


41) Dar tumhare gunah ke siwa kuch nahi.
42) Jo tumhari taarif karta hai.asal me tumhe qatal ka Karta.
43) Jo apni taarif khud se karta hai.dar-asal apni Bechargi batata
       hai.
44) Apni waaliden ki izzat karo.tumhari aulad Tumhari izzat
       karegi.
45) Insan apni zuban ke piche chupa hota hai.
46) Ahle akal ki zuban us ke dil ke piche hoti hai.
47) Zuban teer se zyada gehra waar karti hai.
48) Jo insan har shak se apna dil paak kar leta hai. Wahi sacha
       aqidat mand hai.
49) Danishmand ka khayal najumi ki tarah hota hai.
50) Talashe haq me nikalna jaise rahbari ke fawware Me jana hai.
51) Bewaqufo ki majlis me baithna apni ruh par zulm karna hai.





Mazar Sharif