Saturday 30 July, 2011

MANKABAT PEER ADIL

Huwal Sarkar Peer Adil

Sarkar Peer Adil
Ek  Adil   kya  mil  gaye
Zindagi pur fiza ho gayi
Faas  anfas  se  ab  meri
Zindagi pur ziya ho gayi

Unki yaado me khoye hue
Khudi  apni   duboye   hue
Sar tapa hai unhi ka nasha
Nuri   mehfil   sajaye   hue
 
Unki  surat  pe  shaida  hue
Unki  seerat  pe  shaida hue
Hum kaha the kaha aa gaye
Unko  naqsha  banaye  hue

Koi       dildar     aisa    nahi
Koi  ghamkhwar  aisa   nahi
Hamse  badkar  ko bhi yaha
Hai    gale   se   lagaye   hue

Unse    jo    zikr    hasil   hua
Unki rahmat me dakhil hua
Maarefat  ke  wo raze khafi
Unke  naino   se   aaye  hue
Mazar Sharif of Hazrat Peer Adil (R.A.)
Aisa     pyala     pilaye     hue
Haq  ko  Haq  se  milaye hue
Maikhane wo khuda ke sada
Har  qadam  par  banaye hue

Peer Adil ka   aisa   karam
Ab hai wahdaniyat par qadam
Peer Fehmi bane  rahnuma
Khud  ki   mehfil   sajaye   hue

PEER KA MUKHDA

Huwal Sarkar Peer Adil
 
Peer Adil & Peer Fehmi
 

Peer  mukhda  tera  suhana  hai
Ganje makhfi ka tu khazana hai

Koi   nadan   tujhko  kya  jane
Jisne jana wo marde dana hai

Jinko   adat  padi  bhatakne   ki
Aaye  is  dar  pe  jo  sayana  hai

Sheikh kar sujud lakh magar
Haq na jana wo to diwana hai

Dar badar mat phiro khuda ke liye
Dar pe murshid ke hi khazana hai

Kalma eimaa hai kahte Peer Aadil
Ziya   na  paya  kab  wo  dana  hai

Peer  Fehmi  ne  hamko  batlaya
Dhund nikala ye wo khazana hai

KALMA-E-RAHMAA


Huwal Sarkar Peer Adil

Sarkar Fehmi Peer M.A.

Jiske bhi dam me agar kalma -e- rahma hoga
Surate   Insaa   magar   paikare  yazda  hoga

Koi bhi khud ke agar dam ko na jana hoga
surate  Insaa  to  kya  seerate haiwaa hoga

Peer  Kaamil  ya  kisi rahbare  kaamil se milo
Tab kahi kaamile haq tum pe maharba hoga

Tu  agar lakh samajh apne ko  dana beena
Jo  haq na jane wo kya  khak shanasa hoga

Aapki  nazre  karam  se  mila  khud   ka  rasta
Isse badhkar bhala ab mujhpe kya ahsa hoga

Peer Aadil  se mila  raz  ye  ganje  makhfi
Jaana   is  raz   ko  dil   uska   gulista  hoga

Ho gaya  Fehmi   piya   aap  se   dana  beena
Jane  jaana  mera  ab wo  ruhe eimaa hogaa

NAZARAY-E-YAAR



Huwal Sarkar Peer Adil
 

Sarkar Peer Fehmi


Lamha lamha hota hai mujhko nazara yaar ka
aa   gaya   dil   me  ujala   ab   tere  deedar  ka

Apni  khuddari   khudi   apni  mita  karke   tu  sun
Aa raha hai  har  ghadi  paigham tere  yaar ka

Tu khudi me apni  mitja tab nazar  aayega haq
Warna har jaa par paresha tu dile gham jar ka

Maine  mana  har ghadi  tu  yaad  karta  hai use
Phir bhi kuch samjha nahi haq kya tu haq dar ka

Har ghadi har pal tujhe hi yaad karte hai sabhi
taare dam se naam leta hu mai apne yaar kaa

Peer Adil  ne  tujjhe   batlaya jab  kale  ka raaz
Hogaya    haqdar   mai   bhi   jalwa-e-dildlar  ka

Ho   Mubarak   Peer   Fehmi  yeh  nazara-e-jamal
Sheikh tujhko bhi Mubarak dhyaan khidmatgar ka

WAJOOD-E-LAAMAKA

Huwal Sarkar Peer Adil
Sarkar Peer Fehmi


Is   lamaka   wajood   me   tera   khuda  nahi
Maujood  is makan  me hai kyu dekhta nahi

Hai  yaar   jalwa   gar  wahi  tere  libas  me
Tu  dekhta    hai   ghair  use   dekhta   nahi

Jisko  juda  samajhta   hai  apne  se  dur  tu
khud me khuda hai dekhle tujhse juda nahi

Jange khudi se pahle tu kar dil ko apne saaf          
Woh  aayiene me  tere hai  tujhse  juda nahi

Dairo haram me dhundhta phirta hai raat din
Muajood khud wo tujhme hai tu aashna nahi

Mai jism-o-jaa me dhundhta use umr kat gayi
Haq   ko  khudi  me  paaya   koi  aur   tha  nahi

Gar d hundhna  hai  usko  mil  kaamil  faqir se
Ek aan me mila mujhe de wo thjhse juda nahi

Khud  ka  pata  mila mujhe  Adil faqir se
Dariya  se qatra  qatre se dariya juda nahi

Muddat se mil na paaya mai Fehmi faqir se
“Mai”   ko   kiya   fana   kya   tu   baqa  nahi

MAKAN-E-YAAR


Huwal Sarkar Peer Adil 

Sarkar Fehmi Peer

Kya khub maula ka ye bana lamakaan hai
Jisme  wo rahta  hai  do  alif ka makan hai

Nadaan  koi  jane  kya  hikmat  makan  ki
Do  khidkiyo  se jhankta allah har aan hai

Darwaze   iske   saat  aur  saat   khidkiyaa
Sab kuch niha makaan mai chat hai dhyan hai

Na samjho khaak w aatish w aab w hawa use
Ek   noor   se   bana   hua   zaati   makaan  hai

Gnaje  khafi  se  aaya  jo  samaye ahmadi
Aadam  bana  jo  dam  se wo  aisa  pur-aan hai

Aadam  kahe  ho  jisko  wo hai  kabr khuda ki
Murde me  aake zinda  yaha kya  mahaan hai

Jo  pahocha  laamakaa to Adil piya mile
Mairaj-e-bandagi  hai  ye  aise  udaan hai

Jo jaana is makaan ko kahlaye Fehmi Peer
Pahle  jaha  banake banayaa  makaan  hai

JAA NISAAR-E-PEER


Huwal Sarkar Peer Adil 

Sarkar Peer Fehmi


Ba   Fazl-e-peer   ho   gaye   hum   tajdaro   me
the kaanto me ulajhkar aa gaye ab baharo me

 Miti   naa   hi   khud   apni   na   hi  tera  pata  paaya
 Tere   dar   pe   do   aaye   ho   gaye   hum jaa nisaro

Haram w dair me  bhatke  anaa anta me the uljhe
Tere hatho se pyala pee ke ho gaye deen daro me

 Wo kahkar nahno aqrab chup gaya dhundhu kaha usko  
 Mila  Peere  Mugha  ka dar  hue  jab  deeda  daaro  me

Teri surat  wo pyari pyari bas gayi  mere naino me
Ke mukhda dekh shaida  ho  gaye ummidwaro me

 Piya   Adil  hai  kahte   rahbari   se  paaoge  rab  ko
 Naa   mane   jo  meri  baate   bhatak    jaaye   hazaro   me

Chala naqshe qadam Fehmi ke jo wo Badshah hoga
Mukar  jaye  jo  is  se  unka   sar hai  sirf  khaaro me

DAR-E-PEER-E-KAAMIL


Huwal Sarkar Peer Adil 


Sarkar PeerFehmi

Dar-e-peere kaamil pe jaakar to dekho
zara dam me kalma basaakar to dekho

Ke har  lamha  lamha  phir hogi   ibaadat
Tahoora  ka  pyaala  chadhakar to dekho

Nahi   door   rahta   hai   maabud   apna
Zara ‘Nahno Aqrab’ ko paakar to dekho

Khud  apne   wajood   me  hi  maula  milega
Ke ‘meem’ ko wajood me milakar to dekho

Ke dar dar na tum ko bhatakna padega
Dar-e-yaar  pe  sar jhuka  kar  to dekho
 
Karam Peer  Adil  bani baat  apni
Inhe apne dil me bithkar to dekho

Mujaddar banate  hai Fehmi dakan me
Zara shahr-e-Bijapur ko jakar to dekho

Sarkar Fehmi Peer

FAIZ-O-KARAM


Huwal Sarkar Peer Adil



Peer Fehmi

Tere  Faiz-o-karam  se  Peer  Aadil
Maine   paayi   ziya  in   naino  me
Saaso     me     basaya   kalme   ko
To    aayi     binaayi     naino     me

Dar dar me bhatakta phirta raha
Naa khudi hi mili na khuda paaya
Tere dar  pe jo aaya  paayi khudi
Aur   aayi   khudayi    naino   me

Naa hi dairo haram ko jaao tum
Naa hi dar dar thokar khao tum
Murshid  se  mila  lo  nain  zara
To wo khud hi milega naino me

Hum dam ko kabhi samjhe hi nahi
Phir   ilm-e-jaha   ka   dawa   kyu?
Naadan      samajhlo     bas     itna
Hai    kiski    ziya    in     naino    me

Hai   Saaqi   mere   ye   peer   Aadil
Bhar   bhar   ke   pilaye  aankho se
Hai sar me nasha aur dil me nasha
Fehmi  ka  nasha   hai  naino   me

RUH ME KALMA

Huwal Sarkar Peer Adil
 
Peer Makhmali & Peer Fehmi


Ruh me kalma basana chahiye
Yaar ka dil me thikana chahiye

Taare   dam uska  thikana  hai  zarur
Jaanke pahchan ke jana chahiye

Us se milne ka nasha hai har ghadi
Ye   nash    sar   leke  jana  chahiye

 ‘Nahno Aqrab’ kahke wo dakhil hua
Bas  gaya  sanso  me  pana  chahiye

Hum sabhi aadam nagar se aaye hai
Ab  nagar  ahmed  ko  jana  chahiye

Unke sadqe me mila rabbul ula
Peer Adil  ko manana chahiye

Peer Fehmi bhi hai kahte har ghadi
Maan   jaayega   manana  chahiye

BARUH-E-KALMA


Huwal Sarkar Peer Adil 

Sarkar Peer Fehmi

Baruh-e-kalma padha diya hai
Mai tere faiz-o-karam ke sadqe
Wo  raz-e-kalma  bata diya hai

Mai tere faiz-o-karam ke sadqe

Akadna    hai    sifaate   murda
Kyu zinda  ho  kar akad raha hai
Nijaate   raah  dikha   diya  hai
Mai tere  faiz-o-karam ke sadqe

Teri   talab  me   ye   umr   guzre
Khayale  jaana  me jaa bhi nikle
Chashme karam ki hawa diya hai
Mai tere faiz-o-karam ke sadqe

Talashe haq me bhatak rahe hai
Jaga  jaga  par  wo kat  rahe  hai
Karam  khuda  ka  mila  diya  hai
Mai tere faiz-o-karam ke sadqe

Tera    tassavvur   rahe   salamat
Zamana   chahe   kare  malamat
Sharab-e-waslat   pila   diya   hai
Mai  tere  faiz-o-karam ke sadqe

Tahqeeqe  kalma  kara  diya  hai
Tasdeeke  kalma  kara diya hai
‘Laa’ me  ‘Ilaaha’  dikha  diya hai
Mai ter faiz-o-karam ke sadqe



Jo  thame  Adil  Piya   ka   daman
Banega wo Peer Fehmi sa roshan
Unhi  pe  sab  kuch luta diya hai
Mai  tere  faiz-o-karam  ke sadqe

Sarkar Fehmi Peer

DEKHLE KHUD ME


Huwal Sarkar Peer Adil 


Peer Makhmali, Peer Lasani & Peer Fehmi

Dekhle  tu  khud  me pinha tera  rab  hairat hai  kya
Gar   mile   tujhe  juda   teri   bhala  izzat   hai  kya

Ganj-e-makhfi  me mujassim noor tha mera khuda
Ho  gai  putli  darakhsha  noore  wahdat ab hai kya

‘Nahno Aqrab’   se  mila  jab  tere  hone   ka   sabut
Paa liya khud me chupa tha tera rab hairat hai kya

Wahdat   w   kasrat   me   aai   ek   hi   surat   nazar
Uth   gaya   parda   dui   ka   chadare  gaflat hai kya

Naam  leta  hai  rukhe  roshan  ka  tu  par dil siyaah
Kaise  tujh  par  ho  ayaa haq  ki  bata  surat hai kya

Peer  Aadil   mera   kaaba  teri    taraf   jalwa   numa
Aa  gaya mujhko  nazar  dekho  meri kismat hai kya

Haa  wahi hai  Peer Fehmi  kahte  hai  jo   har  ghadi
Mai  nahi   hu  mai   nahi  meri  haqiqat  ab  hai  kya

RAAZ-E-MAKHFI


Huwal Sarkar Peer Adil 

Peer Fehmi

Tumne dekha bahot rahbare kaamil
Peer   Aadil  sa   mushaba   nahi  hai

Aalim  takhte  hai  ilm  w  amal  me
Raaz-e-makhfi  ko  paya    nahi  hai

Zaahido w takwa aur Zaahid ye naada
Mit    gaye    haq    ko   paya  nahi   hai

Naino   se   nain     milakar   pilaya
Wo   nasha   sar  me aaya nahi hai

Mujhko  kaamil  ek  nazr-e-karam   se
Khud  me  haq ke  siwa  kuch nahi hai

Sabse   Mustishna  hai  Zaat  teri
Peer   Aadil    samaya   nahi   hai

Baba   Fehmi    hai   kahte     hamesha
Peer-o-Murshid   bin   chara   nahi hai

TASSAVVUR-E-MURSHID

Huwal Sarkar Peer Adil  
 


Sarkar Fehmi Peer
Tasavvur me murshid basaye hue hai
Is aayine  me  rab  ko  paaye  hue hai

Meri   paarsayi   ka   hai   raaz     itna
 ‘Sharaban   tahura’   pilaye   hue   hai

Padha kalma hamne baruhe zuba se
Yahi   zikre   afzal     sunaye     hue   hai

Har ek shaye me dekha hai jalwa tumhara
Ke wahdat me kasrat ko paaye hue hai

Ye ganj-e-khafi ka hai bhed saara
Mujhe mere aaqa bataye hue hai

Ija de  nakeere   hame  itni   himmat
Hum hub-e-nabi me nahaye hue hai

Mere  Peer Aadil hai  sadqe  tumhare
Jahannum se hamko chdhaye hue hai

Kahe Peer Fehmi suno aashiqo tum
Ke ishq-e-nabi  me  bahaye  hue hai
 
Sarkar Peer Fehmi

DEKHTE HAI


Huwal Sarkar Peer Adil 


Makhmali Peer & Peer Fehmi

Khuda ko naada kaha dekhte hai
Bane jo ghaafil waha dekhte hai

Ye Peere mughaa se mila raze wahdat
Jo  diwaane hai  har  jaga  dekhte  hai

Ke   deedar  rab  ka   hua  jinko  haasil
Do aalam me khushiya nihaa dekhte hai

Wahi jalwa farma hai dairo haram me
Ke har  zarra - zarra  ayaan  dekhte  hai

Ke deedare rab ka kayamat me haq hai
Jo rab  ke hai   aashiq   yaha dekhte hai

Chupa    dekha   putla -e- tare  nafas    me
Ke har shaye me tujhko nihaa dekhte hai

Kiya khud ko faani hua tu hi baaqi
Makane anaa laamaka dekhte hai

Mere Peer   Aadil  rage jaa bane hai
Nahi wo chupe bas ayaa dekhte hai

Ke jis din mile Peer Fehmi sanam se
Nahi  do    sira    dusra   dekhte   hai

NAINAN ME

Huwal Sarkar Peer Adil

Caliphs
of
Sarkar Peer Adil Bijapuri R.A.

Ghaflat ka utha parda jis dam
Aayi       safayi       nainan   me
Kasrat ka andhera khatm hua
Ek   roshni   aayi   nainan   me

Na  dairo  haram  me  uska  pata
Aadam  ka  pata  hai   uska   pata
Ye tere raaz samajh me jab aaye
Aaye   jo     safayi      nainan    me

Milna hai agar khudko khud se
Taskeen -e- dil -o- jaa   ki  khatir
Aa  tham  ke  Aadil  ka daaman
Khud   hogi  rasai nainan me

Ye    nuskha    mujarrid   hai   mera
Har shaye me nazar aayega khuda
Naino    me   basale    murshid   ko
Chut   jaaye   buraai    nainan    me

Ye   raahe  tassauf  aisa  hai
Ek   Peer   zaruri  hai  is   me
Jab paayega manzil ko apni
Tab  hogi  rasai  nainan  me

Adil ka karam hai Fehmi par
Har  raaz bataye  pal bhar me
Aayinaa banaya  dil  ko  mere
Ek   roshani  aayi  nainan  me