Huwal Sarkar Peer Adil
Gar mile tujhe juda teri bhala izzat hai kya
Ganj-e-makhfi me mujassim noor tha mera khuda
Ho gai putli darakhsha noore wahdat ab hai kya
‘Nahno Aqrab’ se mila jab tere hone ka sabut
Paa liya khud me chupa tha tera rab hairat hai kya
Wahdat w kasrat me aai ek hi surat nazar
Uth gaya parda dui ka chadare gaflat hai kya
Naam leta hai rukhe roshan ka tu par dil siyaah
Kaise tujh par ho ayaa haq ki bata surat hai kya
Peer Aadil mera kaaba teri taraf jalwa numa
Aa gaya mujhko nazar dekho meri kismat hai kya
Haa wahi hai Peer Fehmi kahte hai jo har ghadi
Mai nahi hu mai nahi meri haqiqat ab hai kya
No comments:
Post a Comment