Maine paayi ziya in naino me
Saaso me basaya kalme ko
To aayi binaayi naino me
Dar dar me bhatakta phirta raha
Naa khudi hi mili na khuda paaya
Tere dar pe jo aaya paayi khudi
Aur aayi khudayi naino me
Naa hi dairo haram ko jaao tum
Naa hi dar dar thokar khao tum
Murshid se mila lo nain zara
To wo khud hi milega naino me
Hum dam ko kabhi samjhe hi nahi
Phir ilm-e-jaha ka dawa kyu?
Naadan samajhlo bas itna
Hai kiski ziya in naino me
Hai Saaqi mere ye peer Aadil
Bhar bhar ke pilaye aankho se
Hai sar me nasha aur dil me nasha
Fehmi ka nasha hai naino me
No comments:
Post a Comment