the kaanto me ulajhkar aa gaye ab baharo me
Miti naa hi khud apni na hi tera pata paaya
Tere dar pe do aaye ho gaye hum jaa nisaro
Haram w dair me bhatke anaa anta me the uljhe
Tere hatho se pyala pee ke ho gaye deen daro me
Wo kahkar nahno aqrab chup gaya dhundhu kaha usko
Mila Peere Mugha ka dar hue jab deeda daaro me
Teri surat wo pyari pyari bas gayi mere naino me
Ke mukhda dekh shaida ho gaye ummidwaro me
Piya Adil hai kahte rahbari se paaoge rab ko
Naa mane jo meri baate bhatak jaaye hazaro me
Chala naqshe qadam Fehmi ke jo wo Badshah hoga
Mukar jaye jo is se unka sar hai sirf khaaro me
No comments:
Post a Comment