Saturday 30 July, 2011

BARUH-E-KALMA


Huwal Sarkar Peer Adil 

Sarkar Peer Fehmi

Baruh-e-kalma padha diya hai
Mai tere faiz-o-karam ke sadqe
Wo  raz-e-kalma  bata diya hai

Mai tere faiz-o-karam ke sadqe

Akadna    hai    sifaate   murda
Kyu zinda  ho  kar akad raha hai
Nijaate   raah  dikha   diya  hai
Mai tere  faiz-o-karam ke sadqe

Teri   talab  me   ye   umr   guzre
Khayale  jaana  me jaa bhi nikle
Chashme karam ki hawa diya hai
Mai tere faiz-o-karam ke sadqe

Talashe haq me bhatak rahe hai
Jaga  jaga  par  wo kat  rahe  hai
Karam  khuda  ka  mila  diya  hai
Mai tere faiz-o-karam ke sadqe

Tera    tassavvur   rahe   salamat
Zamana   chahe   kare  malamat
Sharab-e-waslat   pila   diya   hai
Mai  tere  faiz-o-karam ke sadqe

Tahqeeqe  kalma  kara  diya  hai
Tasdeeke  kalma  kara diya hai
‘Laa’ me  ‘Ilaaha’  dikha  diya hai
Mai ter faiz-o-karam ke sadqe



Jo  thame  Adil  Piya   ka   daman
Banega wo Peer Fehmi sa roshan
Unhi  pe  sab  kuch luta diya hai
Mai  tere  faiz-o-karam  ke sadqe

Sarkar Fehmi Peer

1 comment:

  1. Kya baat hai khud me phir b juda hai dil me hai Phir b andera hai jasa khayal karu waise banjatha hun tho wahi khuda mujme andar basher hai wu kounsa noor hai andere me b uska wajood hai dikta nahi phir dikhata sab wahi mera khuda hai Jo har kaam mujme karta hai raaz e elahi aainaye murshid e khuda salam o darood hai sabper

    ReplyDelete