Surate Insaa magar paikare yazda hoga
Koi bhi khud ke agar dam ko na jana hoga
surate Insaa to kya seerate haiwaa hoga
Peer Kaamil ya kisi rahbare kaamil se milo
Tab kahi kaamile haq tum pe maharba hoga
Tu agar lakh samajh apne ko dana beena
Jo haq na jane wo kya khak shanasa hoga
Aapki nazre karam se mila khud ka rasta
Isse badhkar bhala ab mujhpe kya ahsa hoga
Peer Aadil se mila raz ye ganje makhfi
Jaana is raz ko dil uska gulista hoga
Ho gaya Fehmi piya aap se dana beena
Jane jaana mera ab wo ruhe eimaa hogaa
No comments:
Post a Comment