Huwal Sarkar Peer Adil
Aayi safayi nainan me
Kasrat ka andhera khatm hua
Ek roshni aayi nainan me
Na dairo haram me uska pata
Aadam ka pata hai uska pata
Ye tere raaz samajh me jab aaye
Aaye jo safayi nainan me
Milna hai agar khudko khud se
Taskeen -e- dil -o- jaa ki khatir
Aa tham ke Aadil ka daaman
Khud hogi rasai nainan me
Ye nuskha mujarrid hai mera
Har shaye me nazar aayega khuda
Naino me basale murshid ko
Chut jaaye buraai nainan me
Ye raahe tassauf aisa hai
Ek Peer zaruri hai is me
Jab paayega manzil ko apni
Tab hogi rasai nainan me
Adil ka karam hai Fehmi par
Har raaz bataye pal bhar me
Aayinaa banaya dil ko mere
Ek roshani aayi nainan me
No comments:
Post a Comment