Huwal Sarkar Peer Adil 
|  | 
| Sarkar Peer Fehmi | 
Lamha lamha hota hai mujhko nazara yaar ka
aa   gaya   dil   me  ujala   ab   tere  deedar  ka
Apni khuddari khudi apni mita karke tu sun
Aa raha hai  har  ghadi  paigham tere  yaar ka
Tu khudi me apni mitja tab nazar aayega haq
Warna har jaa par paresha tu dile gham jar ka
Maine mana har ghadi tu yaad karta hai use
Phir bhi kuch samjha nahi haq kya tu haq dar ka
Har ghadi har pal tujhe hi yaad karte hai sabhi
taare dam se naam leta hu mai apne yaar kaa
Peer Adil  ne  tujjhe   batlaya jab  kale  ka raaz
Hogaya    haqdar   mai   bhi   jalwa-e-dildlar  ka
Ho   Mubarak   Peer   Fehmi  yeh  nazara-e-jamal
Sheikh tujhko bhi Mubarak dhyaan khidmatgar ka
 
 
No comments:
Post a Comment