Saturday, 30 July 2011

WAJOOD-E-LAAMAKA

Huwal Sarkar Peer Adil
Sarkar Peer Fehmi


Is   lamaka   wajood   me   tera   khuda  nahi
Maujood  is makan  me hai kyu dekhta nahi

Hai  yaar   jalwa   gar  wahi  tere  libas  me
Tu  dekhta    hai   ghair  use   dekhta   nahi

Jisko  juda  samajhta   hai  apne  se  dur  tu
khud me khuda hai dekhle tujhse juda nahi

Jange khudi se pahle tu kar dil ko apne saaf          
Woh  aayiene me  tere hai  tujhse  juda nahi

Dairo haram me dhundhta phirta hai raat din
Muajood khud wo tujhme hai tu aashna nahi

Mai jism-o-jaa me dhundhta use umr kat gayi
Haq   ko  khudi  me  paaya   koi  aur   tha  nahi

Gar d hundhna  hai  usko  mil  kaamil  faqir se
Ek aan me mila mujhe de wo thjhse juda nahi

Khud  ka  pata  mila mujhe  Adil faqir se
Dariya  se qatra  qatre se dariya juda nahi

Muddat se mil na paaya mai Fehmi faqir se
“Mai”   ko   kiya   fana   kya   tu   baqa  nahi

No comments:

Post a Comment