Jisme wo rahta hai do alif ka makan hai
Nadaan koi jane kya hikmat makan ki
Do khidkiyo se jhankta allah har aan hai
Darwaze iske saat aur saat khidkiyaa
Sab kuch niha makaan mai chat hai dhyan hai
Na samjho khaak w aatish w aab w hawa use
Ek noor se bana hua zaati makaan hai
Gnaje khafi se aaya jo samaye ahmadi
Aadam bana jo dam se wo aisa pur-aan hai
Aadam kahe ho jisko wo hai kabr khuda ki
Murde me aake zinda yaha kya mahaan hai
Jo pahocha laamakaa to Adil piya mile
Mairaj-e-bandagi hai ye aise udaan hai
Jo jaana is makaan ko kahlaye Fehmi Peer
Pahle jaha banake banayaa makaan hai
No comments:
Post a Comment