Saturday 30 July, 2011

MANKABAT PEER ADIL

Huwal Sarkar Peer Adil

Sarkar Peer Adil
Ek  Adil   kya  mil  gaye
Zindagi pur fiza ho gayi
Faas  anfas  se  ab  meri
Zindagi pur ziya ho gayi

Unki yaado me khoye hue
Khudi  apni   duboye   hue
Sar tapa hai unhi ka nasha
Nuri   mehfil   sajaye   hue
 
Unki  surat  pe  shaida  hue
Unki  seerat  pe  shaida hue
Hum kaha the kaha aa gaye
Unko  naqsha  banaye  hue

Koi       dildar     aisa    nahi
Koi  ghamkhwar  aisa   nahi
Hamse  badkar  ko bhi yaha
Hai    gale   se   lagaye   hue

Unse    jo    zikr    hasil   hua
Unki rahmat me dakhil hua
Maarefat  ke  wo raze khafi
Unke  naino   se   aaye  hue
Mazar Sharif of Hazrat Peer Adil (R.A.)
Aisa     pyala     pilaye     hue
Haq  ko  Haq  se  milaye hue
Maikhane wo khuda ke sada
Har  qadam  par  banaye hue

Peer Adil ka   aisa   karam
Ab hai wahdaniyat par qadam
Peer Fehmi bane  rahnuma
Khud  ki   mehfil   sajaye   hue

10 comments:

  1. peer ki nasihat dil ko aina bana deti hai
    roohe jikr be parda rahbar se mila deti hai

    ReplyDelete
  2. Aashiqo ko zustju khud se nahi
    bas ek bo khozi janha mai duja nahi

    ye janha or bo janha hai ek moti
    sach mai jaano kufr ba deen kuch bhi nahi...

    ReplyDelete
  3. Nashe mai bethe hai rindo jese mekade mai aaj
    jahad na karenge or na parenge namaz aaj

    kiya boloo kiya mahfil kiya meh hai aaj
    kiya saaki kiya maharbani kiya lutf hai aaj

    na hijr ka koi nisha hai na boo hai koi aaj
    dildar se meil or bishal hai aaj

    aaj milte tohfe or chume shaki se koi aaj
    pyale hai mastiya hai or sarabe hai aaj

    aaj masti mai jaanu na shubha se sham koi aaj
    gujr rahe hai jamane lamho ki tarhan se aaj

    zal pare hai aaj fitne mai lag kar sabhi aaj
    is aangan ki majlish mai haye ba hoo hai aaj

    khud se nikl kar punchte hai sabhi sarabi aaj
    shaki ke dekhe bin hum par hoti nahi karamat

    peer aadil ne ki na koi khurafat
    toheed ki mah dhaal sab yaaro ki di awaz

    ReplyDelete
  4. ARMAN HAI ISHQ KA, IS RAJ KO DUNIYA SE BOLE
    MUMKIN HO YS KIS TARHA,AINA JAB SACH NA BOLE.

    ReplyDelete
  5. mashook hi hai sab kuch
    aashiq hai bas prda,
    mashook hi bas jee raha hai,
    aashiq to hai ek murda.

    ReplyDelete
  6. Kushtagaan-e-khanjar-e-tasleem raa, Har zamaan azz gheb jaan-e-deegar ast

    ReplyDelete
  7. Asalawalaikum I want Sarkar Peer Adil R.A. ke kalama in PDF file in English is their plz send my. My email is dadakhalender786@gmail.com

    ReplyDelete
  8. I want to read Peer Adil RA kalam and his great books.
    Kindly send me in pdf. Thanks a lot
    Jazak Allah
    M Arif Khan

    ReplyDelete
  9. Azmat ali qadri

    ReplyDelete
  10. Kalama peer aadil send me

    ReplyDelete