Saturday 30 July, 2011

RUH ME KALMA

Huwal Sarkar Peer Adil
 
Peer Makhmali & Peer Fehmi


Ruh me kalma basana chahiye
Yaar ka dil me thikana chahiye

Taare   dam uska  thikana  hai  zarur
Jaanke pahchan ke jana chahiye

Us se milne ka nasha hai har ghadi
Ye   nash    sar   leke  jana  chahiye

 ‘Nahno Aqrab’ kahke wo dakhil hua
Bas  gaya  sanso  me  pana  chahiye

Hum sabhi aadam nagar se aaye hai
Ab  nagar  ahmed  ko  jana  chahiye

Unke sadqe me mila rabbul ula
Peer Adil  ko manana chahiye

Peer Fehmi bhi hai kahte har ghadi
Maan   jaayega   manana  chahiye

1 comment:

  1. Assaalamualikum......fehmi peer aap sarkaar peer aadil ke khalifa hai.....sarkaar peer aadilaR.A(mehtab allah ke khalifa hai )..aur mehtab allah R.A. Qadeerallah ke khalifa hai......to mera aapse ye sawaal hai ki qadeer allah ka kalma aapne kaise badle....jo chiz peer aadil ne aapke peer ne nahi kiye wo aapne kaise kiye....aap ka kalma sahi hai ya aapke peer ne jo padhe aur samjhe apne peer se wo sahi hai...?????

    ReplyDelete