zara dam me kalma basaakar to dekho
Ke har lamha lamha phir hogi ibaadat
Tahoora ka pyaala chadhakar to dekho
Nahi door rahta hai maabud apna
Zara ‘Nahno Aqrab’ ko paakar to dekho
Khud apne wajood me hi maula milega
Ke ‘meem’ ko wajood me milakar to dekho
Ke dar dar na tum ko bhatakna padega
Dar-e-yaar pe sar jhuka kar to dekho
Karam Peer Adil bani baat apni
Inhe apne dil me bithkar to dekho
Mujaddar banate hai Fehmi dakan me
Zara shahr-e-Bijapur ko jakar to dekho
No comments:
Post a Comment